Kooldeep1521 2010-09-04 17:14:34 Kaagaj....
..,aur Insan lupt ho gaya
duniya kaagjo ki ban gayi.
Neend/kanoon/aansu/muskan
yahan tak ki sabhi arman!!!
Kuch kaagaj me simatkar reh gaye
in kaagajo k jharakho se dekhne par nazar nahi aati door-door tak aatma !!!!
Insaan kamjor ho gaya itna
ki unhe fadna toh door..
Inke bhaar ke niche davkar rah gaya
aarahi hai door se ek ghutan bhari siski
vivash kya kare??
Kaagaj ki chaadar taane so gaya,
bus kaagaj ban kar reh gaya
aur
Insaan lupt ho gaya