maya786 2011-05-17 15:05:44Happy budhdha jayanti dosto
parvat to or bhi hai himachchadit parvat or bhi hai par himalay atulniy hai
uski koi upama nahi hai
himalay bas himalay jaisa hai
goutam budhdha bas goutam budhdha jaise
puri manusya jati ke itihas me waisa mahima puran naam dusra nahi hai
goutam budhdha ne jitne hadyo ki veena ko bajaya hai utna kisi or ne nahi
goutam budhdha ke madhyam se jitne log jage or jitne logo ne param bhagwatta upalabdh ki hai utni kisi or ke madhyam se nahi
goutam budhdha ki vani anoothi hai visheskar unke liye jo soch vichar chintan manan vimarsh ke aadi hai
maya786 2011-05-17 15:14:48Budhdham sharnam gachchami
sangham sharnam gachchami
dhammam sharnam gachchami
Rakshak 2011-05-17 21:56:48 "JEEVAN DUKHAMAY HI AUR ASHA HI DUKH KA KARAN HI".
A tathaagath awtar ka amarwaani hi....ise kahe 2000 saalse upar huwa aaj bhi ham teekse samaj ni paye.........
Lagata hi sbi awtar purusho ka haal aisa hi hota hi,
we apna saaf dilko maankar duniyake logoko , moudyo ko apne saral updeso se uchai ki or le jane ke liye apna pura janam lagadete hi ,magar wo jate hi a swarti manusya us wiswa manaw ko ek dharm me bandh kar unke updeshoko pavitra grantho me gaad kar bhul jate hi aour us maha purush ka raakh ya mitti ke
waste apas me ladke khun bahate hi.
Magar a sab aadhi rat ko satya ke khoj me mahal chodke jane wala us siddharth ko pata chalta to sayad hi wo us raath mahalse bahr nikalta......
Firb.... Bhuddha poornima ka sbko shubhashay.....toda to hm unke bataye marg pe chalne ke kosis kare......plssssss......